Thursday 1 March 2012

Lesson of HAZRAT ALI ferman

Hazrat Ali ( Karam Ullah Waj Ho ) K Aqwal – MUST READ…
(Surah Al-Rahman 013)Then which of the favours of your Lord will you deny?

Hazrat Ali ( Karam Ullah Waj Ho ) K Aqwal
1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
( Hazrat ALI A.S )
———–
2-Kisi ne Hazrat ALI A.S se poocha:
“Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
“Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
“Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya:
“Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’
———–
3-Ager kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do!
Wo Aala zaraf hoa to ap ko aur izat day ga!
aur kam zarf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga!
( Hazrat ALI A.S )
———–
4-Hazrat ALI A.S Ka Farman Hay:-
“Bura Dost Koely Ki Manind Hay”
“Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega”
“Aur Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega”
———–
5-Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi He.
( Hazrat ALI A.S )
Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
Allah Ki
Enayat Hain!.
(Imam Hussain A.S)
———–
———–
7-Hazrat ALI A.S SAYS
TUMHARE 3 DOST HAIN
1 TUMHARA DOST
2 TUMHARAY DOST KA DOST
3 TUMHARAY DUSHMAN KA DUSHMAN
TUMHARAY 3 DUSHMAN HAIN
1 TUMHARA DUSHMAN
2 TUMHARAY DUSHMAN KA DOST
3 TUMHARAY DOST KA DUSHMAN
———–
8-Hazrat ALI A.S ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi
roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k
eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU- WA TAALA ne muaf kar dia
———–
9-Hazrat ALI A.S Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
———–
10-Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khush hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI A.S )
———–
11-IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI A.S )
———–
12-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho!
Ya phir gharoor se dekh rahe ho!
( Hazrat ALI A.S )
———–
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho!.
[HAZRAT ALI (RA)]
———–
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho!
( Hazrat ALI A.S )
———–
Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke
Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
Hazrat ALI A.S
———–
Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay!
Main Dozakh K Khouf Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai!.
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon…
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai…… ( Hazrat ALI A.S )
———–
Aik Shakhs Ne Hazrat ALI A.S Sey Poocha,
Q: Qharib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qhareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Our Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna